Laal hai khoon mera,
Laal hai khoon tera,
Phir bhi na jaane kyun mein tere tu mere khoon ka hai pyasa|
Laal hai khoon tera,
Phir bhi na jaane kyun mein tere tu mere khoon ka hai pyasa|
Dikhta hai tu mujhko ek dam jaisa mein hoon tujhko mein dikhta,
Phir kyun hai nafrat ki yeh dewar|
Ankhein hai meri do kaali kaali,
Ankhein hai teri do kaali kaali,
Dikhti hai nafrat mujhko teri ankhoon mein,
Dikhti hai nafrat tujhko meri ankhoon mein,
Nafrat ki yehi to hai dewaar|
Laal hai khoon mera bhi tera bhi,
Phir bhi na jaane kyun mein tere tu mere khoon ka pyasa|
Kheta hai tu tujhko tu,
Kheta hoon mein mujhko mein,
Kheta hoon mein mujhko mein,
Phir bhi na jaane kyun mein tere tu mere khoon ka hai pyasa|
Hai to hum sath sath,
Par bich mein hai yeh shaak ki dewar|
Khaata hai tu daana wohi jo hota hai dharti pe mere,
Khaata hoon mein daana wohi jo hota hai dharti pe tere,
Kya hindu kya musalman|
Par bich mein hai yeh shaak ki dewar|
Khaata hai tu daana wohi jo hota hai dharti pe mere,
Khaata hoon mein daana wohi jo hota hai dharti pe tere,
Kya hindu kya musalman|
Shakal hai teri mere jaisi aur meri tere jaisi,
Phir bhi hai kyun yeh ladai,
Hai jo tujhme, hai wohi mujhme,
Hai jab tak nafrat mujhhme,
Hai tab tak nafrat tujhme,
Hai yeh nafrat hi to,
Jo mein tere tu mere khoon ka pyasa|
2 comments:
Ladki hui to ...............
bhedh bhav kar raha hai tu!!
India mein ab jab section 377 bhi legal hoo gaya hai aur tu abhi ladka ladki kar raha hai.. sharam aa rahi hai mujhko. Must say... m disappointed.
Post a Comment